Purushon Mein Baal Jhadna Kaise Rokein
Kya subah uthte hi ya kangi karte waqt haath mein baalon ka guchha aa jata hai? Agar aapka jawab 'haan' hai, toh aap akele nahi hain. Aaj hum baat karenge ki Purushon Mein Baal Jhadna Kaise Rokein aur iske gharelu upay...". Aajkal ki is bhagdaud bhari life mein hair fall ek aam problem ban chuki hai, lekin thodi si care se isse asaani se roka ja sakta hai. Aaj hum baat karenge ki " Purushon mein baal jhadne ko kaise rokein" aur iske gharelu upay kya hain.
Table of Contents
- Baalon Ke Girne Ke Karan Ho Sakte Hain
Yoga Aur Physical Activity
Nutrition Se Bharpoor Diet
Scalp Ki Safai Aur Protection
Toh chaliye sabse pehle, iske karanon ko samajhte hain.
Baalon Ke Girne Ke Karan Ho Sakte Hain
1. Stress (Tanaav): Office work ya personal life ke stress se brain par pressure padta hai, jisse scalp blood circulation affect hota hai aur baal girne lagte hain. Agar aap chinta kam karoge toh baalon aur sehat dono ke liye laabhkaari hai.
2. Hormones Ka Bigad Jaana Hona Aur Lambe Samay Se Bimaari Ka Hona: Jab hamare sharir mein koi bhi bimaari lambe time se ho toh yeh bhi hair loss ka karan ban sakti hain. Aur iske kuch infections (dengue, typhoid, malaria) mein high fever aur weakness ke karan temporary hair loss (Telogen Effluvium) hota hai, jo bimari ke 2-3 mahine baad dikhta hai.
3. Cancer Aur Chemotherapy Bhi Hai Iska Sabse Bada Karan: Cancer ke ilaj mein jo Chemotherapy aur zyada power ki dawaon se baalon par gehra asar padta hai, jisse baal jhadte hain. Lekin treatment poora hone ke kuch samay baad naye baal wapas aane lagte hain.
4. Shampoo Aur Sabun Ka Bar-Bar Badalna: Repeatedly brand badalne aur atyadhik chemicals wale products use karne se skin damage hoti hai. Isliye shampoo ka istemal hafte mein sirf 2-3 baar hi karna chahiye.
5. Kharab Khan-Paan (Poor Nutrition): Se baalon ko bharpoor poshan nahi milte. Jab baalon ki jado (roots) ko protein, vitamins, aur minerals nahi milte, to woh kamzor ho kar tootne lagte hain. Baalon ke liye vitamins, protein aur bhi nutrients ki jarurat hoti hai.
6. Smoking (Dhumrapan) Hai Baalon Ke Liye Haanikaarak: Jab koi vyakti cigarette peeta hai toh us cigarette ke dhuyein mein maujood nicotine blood circulation ko kam kar deta hai. Isse scalp aur baalon ki jadon tak oxygen aur nutrition nahi pahunch pata. Saath hi, yeh DHT hormone ko badha sakta hai, jo male pattern baldness ka bada karan hai.
7. Fungal Infection Aur Rooshi: Scalp (sar) par fungal infection ya dandruff hone se roots (jadon) tak minerals, vitamins nahi pahunch paate, jisse baal kamzor hone lagte hain.
Ghar Par Hi Baal Ka Girna Kaise Rokein
1. Yoga Aur Physical Activity
Daily yog karne se body ka blood circulation, khoon ka dauran, improve hota hai:
Adho Mukha Svanasana: Head sar niche ki taraf ho aur legs upar hone par blood flow badhata hai, jisse oxygen aur nutrients scalp (khopri) tak pahunchte hain.
Sarvangasana: Sarvangasana aasan karne par body balance rehta hai aur tension-free rehne mein madad karta hai aur tension mukt rahte hai.
Vajrasana: Khana khane ke baad karne se digestive system strong hota hai, jisse nutrients sahi se absorb hote hain.
2. Nutrition Se Bharpoor Diet
Agar tum apne bhojan mein Protein, Vitamins (A, C, D, E), aur healthy fats ko shamil karenge toh aap baalon ki samasya se chutkara pa sakte hain.
Oil Ka Sahi Prayog: Sahi Vitamin E yukt oil (coconut, almond) ka use karein. Note: Agar aapko fungal infection ya rooshi hai, to oiling na karein ya bahut kam karein, kyunki oil se fungus badhta hai.
Dahi Aur Besan Paste: Hafte mein 2-3 baar lagane se dahi ka lactic acid aur good bacteria infection ko kam karte hain aur scalp ko thandak dete hain. Isme antioxidant, folic acid, zinc, selenium aadi tatva maujood hote hain jo baalon ko girne se rokte hain.
Onion Juice (Pyaaz Ka Ras): Agar aap roz pyaz (onion) ke ras mein 2 spoon shahad (honey) ko milakar accha sa paste bana le uske baad lagane se baalon mein majbooti aati hai kyunki pyaaz ke ras mein sulphur hota hai.
Amla Aur Reetha: Vitamin C se bharpoor, yeh baalon ko majboot banate hain. Paste banakar shampoo ki jagah use kar sakte hain.
Aloe Vera Gel: Scalp ka pH balance banaye rakhta hai, garmi door karta hai aur baalon ko ghana banata hai.
Neem Ka Paani: Antifungal gunon se bharpoor neem ka paani rooshi aur infection se rahat deta hai.
Dhaniye Ka Ras: Vitamin A, B12, aur D se bharpoor dhaniye ka ras peena aur paste lagana faydemand hota hai.
Doctor Ki Salah (Medical Disclaimer):
Is article mein di gayi jankari kewal samanya jaagrukta aur prathmik dekhbhal ke liye hai. Yeh kisi bhi professional medical doctor ki salah, diagnosis ya ilaaj ka vikalp nahi hai. Agar aapko baalon ke jhadne ki samasya bahut zyada hai ya koi skin infection hai, toh kisi dermatologist ya medical expert se salah zaroor lein. SwasthLife kisi bhi nuskhe ya upchar ke istemal se hone wale parinaamo ki zimmedari nahi leta hai.
Frequently Asked Questions (FAQs)
Q1. Ek din mein kitne baalon ka girna normal hai?
Ans: Din bhar mein 8-10 baal girna normal hai kyunki purane baal girte hain aur naye aate hain. Isse zyada hair fall hone par hi dhyan dene ki zaroorat hoti hai.
Q2. Kya parivaar mein kisi ko ganjapan ho (Genetics), to mere bhi baal jhadenge?
Ans: Haan, yeh ek aanuvanshik (genetic) samasya ho sakti hai, lekin sahi diet, lifestyle aur scalp care se genetic problem ko poori tarah se samapt toh nahi kiya ja sakta hai lekin haan kaafi had tak kam kar sakte hai
Q3. Sar mein fungal infection hone ke kya karan hain?
Ans: Scalp par pehle se maujood Malassezia fungus ka zyada sebum (oil) ke karan badhna, paseena/nami rehna, aur immune system kamzor hona iske mukhya karan hain.
Ans: Scalp par pehle se maujood Malassezia fungus ka zyada sebum (oil) ke karan badhna, paseena/nami rehna, aur immune system kamzor hona iske mukhya karan hain.
Conclusion (Nishkarsh)
Ballon ka jhadna aur rooshi (dandruff) aksar scalp par hone wale fungal infection aur galat dekhbhal ka nateeja hote hain. Is samasya se nipatne ke liye sirf baahri ilaj hi nahi, balki sahi jankari aur lifestyle mein badlav bhi zaroori hai. Fungal infection ke dauran zyada tel lagane se bachna chahiye aur uski jagah antifungal shampoo, neem, dahi, ya aloe vera jaise gharelu upayon ko apnana chahiye. Iske saath hi, balanced diet aur scalp ki safai par dhyan dekar balon ko dobara majboot aur swasth banaya ja sakta hai. Agar samasya phir bhi bani rahe, to waqt par dermatologist se salah lena sabse sahi kadam hai.




Comments
Post a Comment